int i=1; for(i=1;i=10;i++) { }

Thursday, September 20, 2012

aakhir kyun...??


Kyun wo chaahti hain ke main usey sochoon tak nahi... 
Kya mera itna bhi haq nahi us par...
Kyun wo door karna chaahti hain mujhe... 
Kya khushi milegi usey..
Kyun nahi samajhti ke mere jeeney ka bhi toh ek hi kaaran hain... 
Kyun usey ye kaaran de doon main, Kya sirf iss liye ke main usey chaahta hoon, pyar karta hoon, pooja karta hoon...
 Kya maine kabhi pyar ke badle pyar maanga us se... 
Jab bhi chaaha, jab bhi maanga toh sirf ye ke wo khush rahe, muskurate rahe... 
Kya galat maang liya... 
Wo kehti hain main usey na sochoon uska khayaal na rakhoon... 
Kaise mumkin hain ye sab wohi bataa de... 
Usne hi toh sikhaaya hain kaise bina kuch chaahey pyar kiya jaata hain... 
Wo kyun nahi samajhti ke main kisi laalach mein nahi khayal rakhta hoon uska...
 Main hamesha se ye karna chaahta tha par kisi ne samjha hi nahi... 
Socha wo samajh paaegi par...
Koi baat nahi, kuch log yuhi sapney mein hi zindagi guzaar dete hain..
.Mujhe pata hain main uski zindagi mein takleef banke aaya hoon par kya karoon lakh koshisho ke baad bhi main apne aap ko rok nahi paata hoon...
 Wo jab kehti hain ke mera khayal mat rakhna, mujhe mat sochna tab kahi bahot dard hota hain, bahot jyaada aur jaanleva dard... 
Bardasht karta hoon us dard ko kyunki kahi ab bhi umeed hain ke wo ye sab sirf gussey mein keh rahi hain, dil se nahi...
 Main toh sirf apne aap se kiya hua vaada nibha raha hoon, uska dost banke rehne ka, har haal mein uska saath dene ka... 
Aaj se main usey koi takleef nahi doonga, sirf intezaar karoonga uske ek message ka jisme likha ho
 " kaha ho sarkar mujhe aapki zaroorat hain" 
meri zindagi ka Eid hoga wo din... 
Pyar toh badh raha hain aur badhta hi jaayega kyunki uske pyar ne hi sachhe pyar ka matlab samjhaya hain... 
Giley, Shikwey, Taaney, Argument kisi mein itni taaqat nahi ke ye pyar kam kar de...
Main usey dekhoon na dekhoon, baat karoon na karoon pyar hamesha hi rahega, saath intezaar bhi hoga uska aur kuch boondein aansoo'n bhi honge uske naam ke....

No comments:

Post a Comment